People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 5 *

Nautak Mangta Ke
Singer: Asha Bhosle
Music: Usha Khanna
Lyricist: Sawan Kumar Tak
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Saajan-Ki-Saheli/Nau-Taak-Mangta/RxIbfCRpVAA
Video:
nautak mangta ke pau ser mangta
nautak mangta ke pau ser mangta
bolo mainu bolo tumko kya mangta
adha mangta ke pauwa mangta
bolo mainu bolo tumko kya mangta
nautak mangta ke pau ser mangta
bolo mainu bolo tumko kya mangta

aaike aaika aaika pandu ba taja hai mal pahli dhar ka
ghe ghe re ghe ghe re sahiba isme mila hai rang pyar ka
aaike aaika aaika pandu ba taja hai mal pahli dhar
ghe ghe re ghe ghe re sahiba isme mila hai rang pyar ka
peele peele chiz badi majedar hai
manle tu kahna yar apne yar ka
itna acha mal hai ye sabko mangta sabko manta
bolo mainu bolo tumko kya mangta
nautak mangta ke pau ser mangta
bolo mainu bolo tumko kya mangta

aaj jo piye bas wahi jiye life me kal ka bharosha hai kya
shayad tujhe pine na de wife ka ghar me bharosha hai kya
aaj jo piye bas wahi jiye life me kal ka bharosha hai kya
shayad tujhe pine na de wife ka ghar me bharosha hai kya
thodi thodi nahi men bindas pee
gum mitale dil ke tu sochta hai kya
soda mangta ke pani mangta ke pau ser mangta
bolo mainu bolo tumko kya mangta
Marne Ke Baad Hamari
Music: Usha Khanna
Tag: Hindi
Video:
marne ke bad hamari yaad me aansu bahate hai
nawazish hai ye unki aaj wo
do gul chadate hai
mazare ishq to kaanto ke bhi
kabil nahi hota, allah
wo sar khole hamari
kabr pe diwana war aaye
are isi ko maut kahte hai to ya rab
bar bar aaye

ke aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke
aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke
mujhse nasib achhe hai
mujhse nasib achhe hai
are mere mazar ke
aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke
aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke
aaye hai, aaye hai, are aaye hai, aaye hai
aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke
aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke

ab to wo bhi ishq ke maare najar aane lage
are unki bhi nind ud gayi
tare najar aane lagi
are dil paresha, are aankh veera
ha ha julf barham, lab khamosh
ab to wo kuch aur bhi pyare najar aane lage
aake hamari kabar pe tune jo muskura diya
bijli chamak ke gir padi sara kafan jala diya
haye chain se so raha tha mai, allah
chain se so raha tha mai
odhe kafan mazar me
aur yaha bhi satane aa gaye
kisne pata bata diya
yaha bhi satane aa gaye
kisne pata bata diya
aaye hai, aaye hai, are aaye hai, aaye hai
aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke
aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke
mujhse nasib achhe hai
mujhse nasib achhe hai
mere mazar ke
aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke
aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke

bijli kabhi giri, kabhi sayyad aa gaya
hamne to char din bhi na dekhe bahar ke
hamne to char din bhi na dekhe bahar ke
sayyad tere hukme rihai ka shukariya
hum to kafas me kaat chuke din bahar ke
hum to kafas me kaat chuke din bahar ke
hum to kafas me kaat chuke din bahar ke
are wada wo kar gaye the
suno mujhse sham ka
wada wo kar gaye the
suno mujhse sham ka
to kaise katenge char pahar intzar ke
to kaise katenge char pahar intzar ke
to kaise katenge char pahar intzar ke
kiya tha wada ke aayenge wo charag jale
tamam raat charago se dil ke daag jale
ja dekha tera wada, haye re tera wada
ja dekha tera wada, haye re tera wada
ja dekha tera wada, ha dekha tera wada
ja dekha tera wada, haye re tera wada
ja dekha tera wada, haye re tera wada

ke haye, ke haye kaise kate umariya
aas hi aas me, biti jaye
hamre nayan darsh bin tarse
tum bin balam kachhu na suhaye
tori preet ke karan mose
ruthe apne paraye
sab ruthe, ek tum mat ruthiyo
tum ruthio to gazab ho jaye re
ja dekha tera wada, haye re tera wada
ja dekha tera wada, haye re tera wada
ja dekha tera wada, ha dekha tera wada
ja dekha tera wada, haye re tera wada
ja dekha tera wada, haye re tera wada
ja dekha tera wada, haye re tera wada
Aise Na The Hum
Singer: Mohammad Rafi
Music: Usha Khanna
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Saajan-Ki-Saheli/Aise-Na-The-Ham/MToiay5WY0Q
Video:
aise naa the ham jaisi hamaari ki rusawaayi logo ne
kuchh tumne kuchh tun ne, badnaam kiya kuchh
aag lagaayi logo ne, aise naa the ham

ho sakta hai tumne jo dekha ho, sanam tumhaari najaro kaa dokha ho
dil se naa dur karo yaar hame, hamne kiya hai pyaar tumhe
ho sakta hai tumne jo dekha ho, sanam tumhaari najaro kaa dokha ho
ek jara si baat pe kya kya baat banaayi logo ne
kuchh tumne kuchh tumne badnaam kiya, kuchh aag lagaayi logo ne

thokar me iss dil ko liye, thod ke tum tho chal bhee diye
tumko khabar kya sheher me uss din, id manaayee logo ne
kuchh tumne kuchh tumne badnaam kiya, kuchh aag lagaayee logo ne

aise naa the ham, jaisi hamaari, ki rusawaayi logon ne,
kuchh tum ne, kuchh tun ne, badnaam kiya kuchh
aag lagaayi logo ne, aise naa the ham
Bunden Nahi Sitaare
Singer: Mohammad Rafi
Music: Usha Khanna
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Saajan-Ki-Saheli/Boonden-Nahin-Sitare-Tapke-Hai/By0iSxlCQlU
Video:
bunde nahi sitaare tapake hai kahakashaa se
sadake utar rahe hai tum par ye aasmaa se
bunde nahi sitaare tapake hai kahkashaa se

moti ke rang rut ke qatare damak rahe hai
yaa reshami lato me juganu chamak rahe hai
aanchal me jaise bijali kaunde yahaan vahaan se
sadake utar rahe hai tum par ye aasmaa se

dekhe to koi aalam bhige se pairahan kaa
paani me hai ye shulaa, yaa nur hai badan kaa
angadaai le rahe hai, aramaa javaa javaa se
sadake utar rahe hai tum par ye aasmaa se

pahalu me aake mere kyaa chiz lag rahi ho
baaho ke daayare me tasvir lag rahi ho
hairaa hu ke tumako dekhun kahaan kahaan se
sadake utar rahe hai tum par ye aasmaa se

bunde nahi sitaare tapake hai kahakashaa se
sadake utar rahe hai tum par ye aasmaa se
bunde nahi sitaare tapake hai kahkashaa se
Jiske Liye Sabko Chhoda
Music: Usha Khanna
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Saajan-Ki-Saheli/Jiske-Liye-Sabko-Chhoda/OFkIRgZIblw
Video:
jiske liye sabko choda, usi ne mere dil ko toda
jiske liye sabko choda, usi ne mere dil ko toda
wo bewafa, wo bewafa kisi or ke sajan ki saheli ho gayi
tujhse pyara koi mila, choda tujhe to kyu hai gila
tujhse pyara koi mila, choda tujhe to kyu hai gila
mai bewafa ha mai bewafa kisi or ke sajan ki saheli ho gayi
jiske liye sabko choda, usi ne mere dil ko toda

dekho kya khush hoke payal ko jhankare
jal ke rah jaye dil aise kare ishare
dekho kya khus hoke payal ko jhankare
jal ke rah jaye dil aise kare ishare
aage mere sitamgar gair ke dil me baske
kaisi besharmi se bat kare has has ke
kaise kahu kya ho gaya, kal mera dil thi jo dilruba
kaise kahu kya ho gaya, kal mera dil thi jo dilruba
wo bewafa, wo bewafa kisi or ke sajan ki saheli ho gayi
tujhse pyara koi mila, choda tujhe to kyu hai gila

mai tu hu ek titli udne firne wali
kaise rahungi baithi ek hi dil ki dali
mai tu hu ek titli udne firne wali
kaise rahungi baithi ek hi dil ki dali
jab ik se ik badhke hai pyar ke najare
fir kyu na lahrau, kyu na karu ishare
kaisi sharam kaisi haya, jab se mila hai sathi naya
kaisi sharam kaisi haya, jab se mila hai sathi naya
mai bewafa ho mai bewafa kisi or ke sajan ki saheli ho gayi
jiske liye sabko choda, usi ne mere dil ko toda

pyar nasha hai aisa jispe cha jata hai
aas pas bhi usko kam hi najar aata hai
pyar nasha hai aisa jispe cha jata hai
aas pas bhi usko kam hi najar aata hai
mana ke mere dil me pyari is ek ladki
aan basi hai fir se banke shama mere ghar ki
chaha use to kya hua, isme kisi ka jata hai kya
chaha use to kya hua, isme kisi ka jata hai kya
wo bewafa ha mai bewafa kisi or ke sajan ki saheli ho gayi